Wednesday 26 September 2018

NAAT LYRICS

Apne Malik ka mai Naam lekar

Apne Malik ka Mai naam lekar
bazm ki ibteda kar raha hoon,
Ya khuda aabru rakh meri tu
Teri Hamd-o-Sanaa kar raha hoon...
Tu Jo chahe to banjaye qismat
mere sajdon ki kya hai haqeeqat,
Teri chaukhat pe sar ko jhukakar
Farz apna adaa kar raha hoon...
Maine duniya ka dekha nazara
Al madad kehke Maine pukara,
Mujhko apni panahon me rakhna
Bas yahi ilteja kar raha hoon...
Aaj mehfil me baithe hai jitne
Sabke dil ki tamanna ho Puri,
Sabko haji banade tu maula
Mai tadap kar dua kar raha hoon...
Apne mehboob ka dar dikhade
Mera soya muqaddar jagade,
Lutfe duniya ko Le aajse Mai
Apne dil se juda kar raha hoon.






Thandi Thandi Hawa Rehmatoon Ki Chali Lyrics
Thandi thandi hawa rehmatoon ki chali
Ban ke mouj e karam, Mustafa aa gaye.
Hal meri ho gayein khud ba khud mushkalein
Saray aalam kay mushkil kusha aa gaye
Aagaye aagaye Mustafa aagaye…
Amina ka muqadar sanwara gaya
Goud main chand jiski utara gaya
Hoor o ghulman salami ko jhuknay lage
Partay rizwan salle ala aagaye.
Aagaye aagaye mustafa aagaye…
Dono aalam ki kismat badalne lagi
Noor main sari konain dhalne lagi
Khush muqadar Halima mubarak tujhe
Goud mein teri Khirul Wara aagaye.
Aagaye aagaye mustafa aagaye…
Ban gayi hai zameen rashk e bagh e jinnah
Sajh gaye asman khil utha gul sitan
Mang lo rehmatein khol lo jholiyan
Denay khairat hajat rawan aagaye.
Aagaye aagaye mustafa aagaye…
Aaj koi bhi sa’im na khali rahe
Sab muradein milein har musibat talay
Madni aaqa ki aamad ka sadqa mile
Bheek leney ko hum Ya Khuda aagaye.
Aagaye aagaye mustafa aagaye…

 

Aye Hasnain Ke Nana

Ya Nabi nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana
Zahra paak ke sadqe humko
Taiba me bulana
Aye Hasnain ke nana
Aap ke dar ka mai hu bhikari
Aap hai mere daata
Saare rishte naato se hai
Pyaara apna naata
Aap to hai aata hai jinko
sabki laaj nibhana
Aye Hasnain ke nana
Be saaya hai lekin woh
Jag par hai aapka saaya
Arshe moh`alla bana mohalla
Deed ko Rab ne bulaya
Hasr tak na hoga kisika
Aisa aana jana
Aye Hasnain ke nana
Sajh gayi hai meelad ki mehfil
Kya hai khoob nazara
Kaifo masti me dooba hai
Dekho aalam saara
Dhund rahi aap ki rehmat
Bakshish ka bahaana
Aye Hasnain ke nana
Nisbat ka faizan hai dekho
Khadim e Gaus e Jali hu
Karta hai mujh pe naaz zamana
Mai Ausaat e Ali hu
Aap ki aal ke dar ka sag hu
Aur saahil hu purana
Ya Nabi nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana

Main to khud Unke dar ka gada hoon Naat Lyrics

Main to khud Unke dar ka gada hoon,
Apne AQA ko main nazr kya doon.
Ab to aankhon mein bhi kuchh nahin hai,
Varna qadmon mein aankhein bichha doon.
Aane waali hai unki ari,
Phool naaton ke ghar ghar saja doon.
Mere ghar mein andhera bohot hai,
Apni palkon pe shamme jala doon.
Rauza-e-paak pesh-e-nazar hai,
Saamne mere AQA ka dar hai.
Mujhko kya kuchh nazar aa raha hai,
Tumko lafzon mein kaise bata doon.
Mere aansu bahut kheemti hain,
Inse waabasta hai unki yaadein.
Inki manzil hai khak-e-madeena,
Ye gohar yun hi kaise luta doon.
Main faqat Aap ko jaanta hoon,
Aur usi dar ko pehchanta hoon.
Is andhere mein kisko pukaroon,
Aap farma’aein kisko sada doon.
Qaafilay jaa rahe hain Madeene,
Aur hasrat se main tak raha hoon.
Ya lipat jaoon qadmon se unke,
Ya qaza ko main apni sada doon.
Meri bakhshish ka saamaan yahi hai,
Aur dil ka bhi armaan yahi hai.
Ek din Unki khidmat mein jaakar,
Unki naatein unhi ko suna doon.
Mujhko IQBAAL nisbat hai unse,
Jinka har lafz jaan-e-sukoon hai.
Main jahaan naat apni suna doon,
Saari mehfil ki mehfil jaga doon.

Har Waqt Tawur Mein Madine Ki Gali Ho

Har waqt Tawur mein Madine ki gali ho
Aur yaad Muhammad ki mere dil me basi ho
Aye kaash mai banjau Madine ka musafir
Phir rooti huwi Taibah ko baraat chali ho
Aye kaash Madine me mujhe maut yuh aaye
Qadmon me Tere sar ho meri rooh chali ho
Aaqa ka gada hoon ai jahan’nam tu bhi sunle
Woh kaise jale joh ke Ghulam e Madani ho
Jab aau Madine me toh har chaak girebaan
Aankhon se barasti huwi ashkon ki jhadi ho
Jab leke chalo gharibaan ko janazah
Kuch khaak Madine ki mere munh pe saji ho
Jis waqt nakirein meri qabr mein aaein
Us waqt mere lab pe saji Naat e Nabi ho
Aaqa ka gada hoon aye jahannam tu bhi sunle
Woh kaise jalay jo ke Ghulam e Madani ho
Allah karam aisa kare tujh par jahan me
Aye Dawate Islami teri dhoom machi ho









Jashne Aamade Rasool Allah Hi Allah
Jashne Aamade Rasool Allah Hi Allah
Bibi Aminah Ke Phool Allah Hi Allah
Allahi Bolo Bolo Allah Hi Allah
Bibi Aminah Ke Phool Allah Hi Allah
Jab Ke Sarekaareh Tashareefe Laaney Lagey
Hoore Ghilmaa Bhi Khushiyaa Manaa Ne Lagey
Har Taarafe Unki Roshenee Cha Gayee
Mustafa Kyaa Miley Zindagee Mil Gayee
Aey Halima, Tereh Gaud’a Meh Aa Gayeah
Dono Aa’lam ke Rasool, Allah Hi Allah
Jashne Aamade ke Rasool, Allah Hi Allah
Chehraa ey Mustafa Jab Dikhaaya Gayaa
Jhuk Gaye Taarey Aure Chaande Sharma Gaya
Aminah Dekh-a Kar Muskuraane Lagee
Hawwa Mariam Bhi Khushiyaa Mana ne Lagee
Aminah Bibi Sab Se Yeh Kehe Ne Lagee
Dua Ho Gayi Qubool, Allah Hi Allah
Bibi Aminah Ke Phool Allah Hi Allah
Shaadiyaane Khushi Ke Bajaaey Gayeh
Shaade Ke Naghme Sabko Sunaaey Gaye
Har Taraf Shore Salley Ala Ho Gaya
Aaj Paida Habibe Khuda Ho Gaya
Phir To Jibrile Ne Bhi Yeh Ailaan Kiya
Yeh Khuda Kehe Rasool, Allah Hi Allah
Yeh Rasoolo(N) Ke Rasool, Allah Hi Allah









Zikre aaqa se sina saja hai

Zikre aaqa se sina saja hai
Ishq hai yeh tamasha nahi hai
Wo bhi dil koi dil hai
Jaha me jisme taswire taiba nahi hai

Lamaka tak hai teri rasai
Geet  gaati hai sari khudai 
Wo jagah hi nahi hai do jaha me
Jis jagah tera charca nahi hai

Hum hussaini hai karbal ke shaida
Dil kabhi bhi na hota hai maila
Kufr ki dhamkiyo se dare jo 
Aashiko ka kaleja nahi hai

Dushmane Mustafa se yeh kai do
Khair chahe to hum se na uljhe
Hum gulamane Ahmed Raza hai 
Koi bhu hum se jita nahi hai

Khaak e paye nabi muh pe malna
Itr ho Mstafa ka pasina 
Unki chaadar ka tukda kafan ho
Aur koi tamanah nahi hai

Hajj ki daulat jise milna paye
Jaye jaye wo ghar apne jaye
Maa ke kadmo ko chumle jo
Sange aswad ko chuma nahi hai


Aay meri maut rukh ja abhi tu
Fir chalenge jaha tu kahe gi 
Apni aankhen taur me taiba
Mai ne ji bhar ke dekha nahi hai

Zikre aaqa se sina saja hai
Ishq hai yeh tamasha nahi hai

Dare nabi par para rahoon ga, parre hi rehne se kaam hoga

Dare nabi par para rahoon ga, parre hi rehne se kaam hoga
Kabhi to qismat khule gi meri, kabhi to mera salam hoga

Khilafe maashooq kuch huwa hai, na koi aashiq se kaam hoga
Khuda bhi hoga udhar bhi aye dil, jidhar woh aali maqam hoga

Kiye hi jaoon ga arz matlab, milega jab tak na dil ka matlab
Na shaam e matlab ki subha hogi, na yeh fasana tamam hoga

Jo dil se hai ma’il-e-payambar, yeh is ki pehchan hai muqarrar
Ke har dam is be nawa ke lab par, durood hoga salam hoga

Isi tawaqqo pe ji raha hoon, yehi tamanna jila rahi hai
Nigahe lutfo karam na hogi, to mujh ko jeena haram hoga

Dare nabi par para rahoon ga, parre hi rehne se kaam hoga
Kabhi to qismat khule gi meri, kabhi to mera salam hoga


ALLAH MERE ALLAH

ALLAH MERE ALLAH ALLAH MERE ALLAH
ALLAH MERE ALLAH ALLAH MERE ALLAH
-YA ILAAHI REHM KAR LIKHDEY MERI TAQDEER MEIN
RAWZAEY KHAIRUL BASHAR LIKHDEY MERE TAQDEER MEIN
-EY MERE RAB SHEHREY MAKKAH SEY MADINE KI TARAF
AANA JAANA UMR BHAR LIKHDE MERE TAQDEER MEIN
-GUZRE DIN MAKKE MEIN SHAB GUZRE MADINE PAAK MEIN
ROSHNI KA YE SAFAR LIKHDE MERI TAQDEER MEIN
-JITNEY BHI AYAAM AB BAAQI HEIN MERI ZEEST KE
HOO MADINE MEIN BASAR LIKHDE MERI TAQDEER MEIN
-YE SADAA HEIN ROOZO SHAB QALBE A’LIME ZAAR KI
PHIR MADINE KA SAFAR LIKHDE MERI TAQDEER MEIN

ya wajeeha deeni wal karami
wa haleefal 'ilmi wal hikami
Nabi un nabi un nabi un nabi
Nabi un nabi un nabi un nabi
Ya rasulullahi salamun alaik
ya rafee'a shari wa tarajee

rasul un rasul un rasul un rasul
rasul un rasul un rasul un rasul

Ya wafee al ahdi wa dimami
Ya hamida sali wa shiyami

aminun aminun aminun aminun
aminun aminun aminun aminun

Ya rasulallahi ya ummdatana
Ya imamal ambiya il umama

Khatimun khatimun khatimun khatimun
Khatimun khatimun khatimun khatimun

Wa faqeedal mahzi muftariqun
min hubil islasi wal adami

rahimun rahimun rahimun rahim
rahimun rahimun rahimun rahim

ya wajeeha deeni wal karami
wa haleefal 'ilmi wal hikami

Nabi un nabi un nabi un nabi
Nabi un nabi un nabi un nabi

Wa salatullahi khaliqina
tatagha sha sayidal umami

mustafa mustafa mustafa mustafa
mustafa mustafa mustafa Mustafa

ahmadal muftarisayyidina
adadal araqi wa diyami

kamilun kamilun kamilun kamil
kamilun kamilun kamilun kamil

gheyra annal fadhlamun taqamun
min adheemil fadhli wal karami
kareemun kareemun kareemun kareem

Sarkaare Ghaus E A’zam, Nazre Karam Khudaara 

Sarkaare Ghaus E A’zam, Nazre Karam Khudaara 
Mera Khaali Kaasa Bhar Do, May Faqir Hu Tumhara 

Maula Ali Ka Sadqa, Gange Shakar Ka Sadqa
Meri Laaj Rakhna Mira, May Faqir Hu Tumhara 


Mira Bane Hai Dulha, Shaadi Rachi Hui Hai 
Sab Auliya Baraati, Kya Khoob Hai Nazara 

Jholi Ko Meri Bhardo, Warna Kahegi Duniya
Aise Sakhee Ka Mangta, Phirta Hai Maara, Maara 


Duniya Mei Sab Ka Koi, Koi To Aasra Hai 
Mera Bajuz Tumhaare, Koi Nahi Sahaara 

Yeh Adaa E Dastgiri, Koi Mere Dil Se Puche
Wahi Aa Gaye Madad Ko, Maine Jab Jahaa Pukaara 


Yeh Tera Karam Hai Ya Ghous, Jo Bana Liya Hai Apna 
Kahaa Mujhsa Ye Kameena, Kaha Silsila Tumhara


Bulalo Sarkar tum apne dar par
Durood aap par salam aap par
Karam ho ham par bhi bandaparwar
Durrod aap par salam aap par

Wo sabz gumbad sunaheri jali
Lauta na koi waha se khali
Banado mera bhi ab mukaddar
Durood aap par salam aap par

Na paas hai zar na par hein mere
Chala bhi jata nahi hai mujse
Fir kese pahunchu tumhare dar par
Durood aap par salam aap par

Aayega ek din wo din suhana
Yakinan hoga madine jana
Padenge roze par sar juka kar
Durood aap par salam aap par

Ye aarazu hai madine jayein
Pakad ke jaali ye keh sunaen
Bachalo ham ko baroze maheshar
Durood aap par salam aap par


Karam Mangta Hoon , Ataa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Dua Mangta Hoon

Karam Mangta Hoon , Ataa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon

Ataa Kar Tu Shaan e Kareemi Ka Sadqa
Aata Ker De Shaan e Rareemi Ka Sadqa
Na Maangon Ga Tujhse To Mangoon Ga Kis Say
Tera Hon Main Tujhse Duaa Mangta Hoon
Karam Mangta Hoon , Ata Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon

Jo Muflis Hain Unko Tu Daulat Ataa Kar
Jo Beemar Hain Unko Sehat Ataa Kar
Jo Muflis Hain Unko Tu Daulat Ataa Kar
Jo Beemar Hain Unko Sehat Ataa Kar
Mareezon ki Khatir Shifaa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Dua Mangta Hoon

Karam Mangta Hoon , Ataa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Dua Mangta Hoon

Jo Naadar Hain Kuch Nahi Jin ke Pallay
Unhen Bhi Dikha De Haram ke Tu Jalwe
Hazoori Ho Sab ki Duaa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon

Karam Mangta Hoon , Ataa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon

Woh Tanke Bharaktay Sharare Bhuja Day
Issay phir akhuwat ka gulshan bana de
Mein amno amman ki rida mangta houn
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon

Karam Mangta Hoon , Ataa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon

Ilaahi Tujhe Wasta Panjtan Ka
Ho Shaadab Ghuncha Diloon Ke Chaman Ka
Main Sadqa e Ghaus ul Wara Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon

Karam Mangta Hoon , Ataa Mangta Hoon
Karam Mangta Hoon , Ataa Mangta Hoon
Ilaahi Main Tujhse Duaa Mangta Hoon


Aye Mujahid e Nabi naat gungunaye jaa
Naghma e Muhammadi tu jhoom kar sunaye jaa
Do jahan pay chaye jaa zarb e Haq lagaye jaa.
Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah

Parcham e Nabi utha lay Khuda ka aasra
Parcham e Nabi utha lay Khuda ka aasra
Dars e Murshidi hay yeh Haq pay zindagi luta
Haq pay jaan lutaye ja zarb e Haq lagaye jaa
Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah

Baat kar tu baad main pehlay tu salaam kar
Baat kar tu baad main pehlay tu salaam kar
Joo terey buzurg hain un ka ihtaram ker
Unn say faiz paye jaa zarab-e-Haq lagaye jaa
Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah

Shukar kar Khuda ka tu tujh ko yeh watan mila
Shukar kar Khuda ka tu tujh ko yeh watan mila
Pak sarzameen mili aur yeh chaman mila
Sar ko tu jhukaye ja zarab-e-Haq lagaye ja
Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah

Jhoot bolna nahin tum kabhi zabaan say
Jhoot bolna nahin tum kabhi zabaan say
Lanat e Khuda hai yeh daikh lo Quran say
Sach kay geet gaye ja zarb-e-Haq lagaye ja
Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah

Apnay murshidi ka dil iss tarah say shaad kar
Apnay murshidi ka dil iss tarah say shaad kar
Joo sabaq milay tujhay tu dil laga kay yaad kar
Unn say faiz paye jaa zarab-e-Haq lagaye jaa
Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah

Aaye jo Ramadan rozoon ka Ihtamam kar
Aaye jo Ramadan rozoon ka Ihtamam kar
Khaa tu Rab ki naimtain zikr uss ka aam kar
Zikr tu sunaye ja zarb-e-Haq lagaye jaa
Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah

Aarzo ki hai dua aour rahay sukhi sada
Aarzo ki hai dua aour rahay sukhi sada
Meharban Aaqa hoon aur karam karay Khuda
Madani rang mein rangata ja zarab-e-Haq lagaye jaa

Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah
Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah

Paigham saba layi hai yeh Gulzaar e Nabi se
Aaya hai bulawa mujhe Darbar e Nabi se
Har aah gaee arsh peh yeh aah ki qismat
Har ashk peh ik khuld he her ashk ki qimat
Tohfa yeh mila he mujhe Sarkar e Nabi se
Aaya hai bulawa mujhe Darbar e Nab se
Shukar Khuda ke aaj ghadi us safar ki hai
Jis par nisaar jaan falah o zafar ki hai
Garmi hai tap hai dard hai kulfat safar ki hai
Na shukr yeh toh dekh azimat kidhar ki hai
Uske tufail Hajj bhi Khuda ne karadiye
Asle muraad Haazri us paak dar ki hai
Kaabe ka naam tak na liya Taiba hi kaha
Poocha tha hum se jiss ne ki nuhzat kidhar ki hai
Kaalak jabhi ki Sajda e Darr se churaoge
Mujh ko bhi le chalo yeh tamanna hajar kee he
Dooba huwa hai shoq mai zamzam aur ankh se
Jaahle baras rahe hai yeh hasrat kidhar ki hai
Aaghosh e Showk khole he jin ke liye Hateem
Woh phir ke dekhthe nahi ke yeh dhun kidhar ki hai
Ha ha raahe Madina hai gafil zara toh jaag
O pao rakhne waale yeh jaa Chasm o Sar ki hai
Waaru qadam qadam pe ke har dum hai jaan no
Yeh Raah e Jaan Fiza mere Maula ke dar ki hai
Allahu Akbar apne qadam aur yeh Khak e Paak
Hasrat malaaika ko jahan wazhe sar ki hai
Meraj ka sama hai kaha pohnche zahiro
Kursi sai oonchi kursi isi paak ghar ki hai
Sattar hazaar subho hai sattar hazaar shaam
Yuh Bandagi e Zulf o Rukh aatho pahar ki hai
Joh ek baar aye dobara na ayenge
Rukhsat hi bargah se bus is qadar ki hai
Tadpa kare badal ke phir aana kaha naseeb
Be hukm kab majhal parinde ko par ki hai
Maasum ko hai umar mai sirf ek baar baar
Aasi pare rahe to salah umar bhar ki hai
Zinda rahe toh Hazri e Baargah naseeb
Mar jaye toh Hayat e Abad esh ghar ki hai
Kaaba dulhan hai Turbat e Athar nayi dulhan
Yeh Rashk e Aftab woh ghairat qamar ki hai
Uf be hayaiya ke yeh munh aur tere huzur
Ha tu Karim hai teri khoo dar guzar ki hai
Arsh e Bari pe kyu na ho Firdous ka dimaag
Utri huwi shab’ih tere baam o’dar ki hai
Lab wah hai ankhe bandh hai faili hai johliya
Kitne maze ki bheekh tere paak dar ki hai
Maange ge maange jayege munh mangi payenge
Sarkar mai na laa hai na hajat agar ki hai
Mangta ka haath uthte hi daata ki dain hai
Doori Qubul o Arz me bus haath bhar ki hai
Jannah na de na de teri rooyat ho khair se
Iss ghul ke aage kis ho hawas barg o bar ki hai
Sharbat na de na de toh kare baat lutf se
Ye shahad ho toh phir kise parwa shakar ki hai
Aa kuch suna de ishq ke bolo me aye Raza
Mushtaq tab`a lazzat e Soaz e Jigar ki hai









Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte
Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte

Tere Sheher Me Mai Aun, Teri Naat Padhte Padhte
Tere Sheher Me Mai Aun, Teri Naat Padhte Padhte

Tere Ishq ki Badaulat, Mujhe Zindagi Mili Hai
Tere Ishq ki Badaulat, Mujhe Zindagi Mili Hai
Mujhe Mout Aaqa Aaye, Tera Zikr Karte Karte
Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte
Tere Sheher Me Mai Aun, Teri Naat Padhte Padhte

Kisi Cheez Ki Talab hai, Na Hai Arzu Bhi Hai Koi
Kisi Cheez Ki Talab hai, Na Hai Arzoo Bhi Hai Koi
Tu Ne Itna Bhar Diya Hai, Kashkoal Bharte Bharte
Tu Ne Itna Bhar Diya Hai, Kashkoal Bharte Bharte
Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte
Tere Sheher Me Mai Aun, Teri Naat Padhte Padhte

Mere Soonay Soonay Ghar Mein, Kabhi Ronake Ataa Hon
Mere Soonay Soonay Ghar Mein, Kabhi Ronake Ataa Hon
Main Deewana Ho Gaya hoon, Teri Raah Takte Takte
Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte
Tere Sheher Me Mai Aun, Teri Naat Padhte Padhte

Hai Jo Zindagani Baaki, Yeh Irada Kar Liya Hai
Hai Jo Zindagani Baaki, Yeh Irada Kar Liya Hai
Tere Munkiron Se Aaqa, Mai Maroon Ga Ladte Ladte
Tere Munkiron Se Aaqa, Mai Maroon Ga Ladte Ladte
Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte
Tere Sheher Me Mai Aun, Teri Naat Padhte Padhte

Nasir Ki Haazri Ho, Kabhi Aastan Pe Tere
Nasir Ki Haazri Ho, Kabhi Aastan Pe Tere
Ke Zamana Ho Gaya Hai, Mujhe Aahen Bharte Bharte
Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte
Tere Shehar Mein Main Aoon, Teri Naat Parhte Parhte

Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte
Tere Shehar Mein Main Aoon, Teri Naat Parhte Parhte

Aye Saba Mustafa se keh dena
Gham ke maare salam kehte hai

Yaad karte hai tumko sham o sahar
Dil hamare salam kehte hai

Allah Allah huzur ki naatein
Marhaba rango noor ki baatein
Chand jin par nisar hota hai
Aur taare salam kehte hai

Aye Saba Mustafa se keh dena
Gham ke maare salam kehte hai

Jab Muhammad ka naam aata hai
Rehmaton ka payam aata hai
Lab hamare Durud padte hai
Dil hamare Salam kehte hai

Aye Saba Mustafa se keh dena
Gham ke maare salam kehte hai

Allah Allah Huzur ke Gaisu
Bhini bhini mehakti wo khushbu
Jin se maamur hai faza har soo
Vo nazare salam kehte hai

Aye Saba Mustafa se keh dena
Gham ke maare salam kehte hai

Zaeer e tayba tu madine mai
Pyare aqa se itna keh dena
Aap ki garde raah ko aqa
Be sahare salam kehte hai

Zikr tha akhari mahine ka
Tazkira chhid gaya madine ka
Hajiyon mustafa se keh dena
Gham ke maare salam kehte hai







Tajdar-e-haram ae shahenshah-e-deen
tumpe har dam karoron durood o salam

ho nigah-e-karam humpe sultan-e-deen
tumpe har dam karoron durood o salam

door reh kar na dum toot jaaye kaheen
kash taiba main ay mere mah-e-mubeen
dafan honay ko mil jaaye do gaz zameen
tumpay har dam karoron durood o salam

koi husn-e-amal paas mere nahi
phas na jaaon qayamat main mola kahin
ae shafee ae umam la’aj rakhna tumhi
tumpe har dam karoron durood o salam

ho nigah-e-karam humpe sultan-e-deen
tumpe har dam karoron durood o salam
mout ke waqt kardo nigha-e-karam
kash is shan se ye nikal jaye dam
sang-e-dar pe tumhare ho meri jabeen
tumpe har dam karoron durood o salam

ab madina mein sab ko bula lejia
aur sena madina bana dejia
meher-e-gousul bara ae imam-e-mubeen
tumpe har dam karoron durood o salam

ho nigah-e-karam humpe sultan-e-deen
tumpe har dam karoron durood o salam

Phir Bulalo Madine me Attaar ko
ye tarapta hai taiba ke deedar ko
koi iske siwa aarzu hi nahi
tumpe har dam karoron durood o salam


Falak Ke Nazaro Zameen Ki Baharo


Falak ke nazaro zameen ki baharo
Sub Eidein manao Huzoor aa gaye hain
Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain
Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain

Uttho bay saharo chalo gham ke maaron
Khabar yeh sunao Huzoor aa gaye hain
Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain
Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain

Anokha niraala woh zishaan ayaa
Woh saare Rasoolon ka Sultan ayaa
Arey baadshahon arey kaj’kulaon
Nigahein jhukao Huzoor aa gaye hain
Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain

Sama hai Sana e Habeeb e Khuda ka
Yeh Milad hai Sarware Ambiya ka
Nabi ke gadao sub ek doosre ko
Khabar yeh sunao Huzoor aa gaye hain
Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain

Hawaun me jazbaat hain Marhaba ke
Fazaon me naghmaat Salle’Alla ke
Daroodaun ke gajre Salaamaon ke tohfe
Ghulamo sajaao, Huzoor aa gaye hain
Huzoor aagaye hain, Huzoor aa gaye hain

Huwaa char su Rahmataun ka basera
Ujaala ujaala
era era
Halima ko pohonchi khabar Aamina ki
Mere ghar mae aao, Huzoor aa gaye hain
Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain

Kahaan mai Zahuri kahaan unki baatein
Karam hi karam hain yeh din aur raatein
Jahaan par bhi jaao dilaun ko jagao
Yehi kehte jaao, Huzoor aa gaye hain
Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain
Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain
Ya Nabi salaam alaika
Ya Rasool salaam alaika
Ya Habib salaam alaika
Swalawatullah alaika

Rehmatoon kay taj walay,
do jahan kay raj walay,
aarsh ki mairaj walay,
aasiyoon ki laj walay.

Ya Nabi salam alayka

Ya Rasool salaam alaika
Ya Habib salaam alaika
Swalawatullah alaika.

Mustafa khir ul wara ho,
sarware har do sara ho,
apnay achoon ka tasaduk,
hum badoon ko bhi niba ho.

Ya Nabi salaam alaika
Ya Rasool salaam alaika
Ya Habib salaam alaika
Swalawatullah alaika.

Ho mubarak ahle imaan,
ho gayi subhay baharaan,
ho gaya har ghar charaghan,
Swalawatullah alaika.

Amina Bibi ka jaya,
baharwi tareekh aaya,
subhe saadiq nay sunaya,
Swalawatullah alaika.

As-tufailay Ghouse Azam,
Ganj Bakhsay faizay azam,
sadqaye Imam e Azam,
door houn sabh hi kay ranj o gham.

Ya Nabi salaam alaika
Ya Rasool salaam alaika
Ya Habib salaam alaika
Swalawatullah alaika.

Meetha meetha he mere Muhammad ka naam
Un pe laakhon karoron durood o salam


Waqt laaye khuda jaaye Darbaar par
Aur khare ho ke Rawza-e-Sarkar par
Pesh mil kar kare ham durood o salaam
Un pe laakhon karoron durood o salam

Wohi Hasni Hussain chaman ke hain phool
Noor-e-Maula Ali jaan-e-Zahra batool
Jis ke Nana Rasul-e-Khuda zi makaan
Un pe laakhon karoron durood o salam

La makaan ke bane hain wohi to makeen
Jin ki naal’ain ko choome Arsh-e-barhin
Jo khuda se huwe Arsh par ham kalaam
Un pe laakhon karoron durood o salam

Shah-e-Konain wo ruh-e-daarain wo
Fakhr-e-Hasnain wo Ghaws-e-Saqlain wo
Jin ke dar ka hai Hafiz bhi adnaa ghulaam
Un pe laakhon karoron durood o salaam.














Dil Main Ishq e Nabi Lyrics
Dil main ishq e Nabi () ki ho aisi lagan,
Ruh tarapti rahe dil machalta rahe,
Zindagi ka maza hey kay har saans say,
Ya Muhammad Muhammad () nikalta rahey.

Dil Main Ishq-e-Nabi Kee Ho Aesee Lagan….

Ya Muhammad Muhammad () mein kehta raha,
Noor kay motion ki lare ban gaee,
Ayaton sey milata raha ayatayn,
Phir jo dekha to Naat e Nabi () ban gaye.

Jo bhi ansoo bahe merey Mehboob kay,
Sab key sab abr e rehmat kay cheentay banay,
Chah gaee raat jab zulf lehra gaee,
Jab tabasum kiya chandani ban gaee.

Yeh to maana kay jannat hai bagh e haseen,
Khoobsoorat hey sab khuld ki sar zameen,
Husn e jannat ko phir jab samayta gaya,
Sarwar e ambiya ki galee ban gaee.

Jab chirah tazkira un kay rukhsaar ka,
Waduha par liya, wal qamar keh dia,
Sooraton kee tilawat bhi hoti rahi,
Naat bhi ho gayi baat bhi ban gayi.

Sab say saim zamanay main mazoor tha,
Sab sey beykas tha beybas tha majboor tha ,
Un ko reham agaya merey halaat par,
Meree azmat meree beybasee ban gaee.

Dil mein ishq e Nabi () ki ho aisi lagan,
Rooh tarapti rahay dil machalta rahay,
Zindagi ka maza hai kay har saans say,
Ya Muhammad Muhammad () nikalta rahey.

Darpesh ho Taiba ka safar, kaisa lagay ga
Guzrein jo wahan shaam o sehar, kaisa lagay ga.

Bara acha lagay ga, bara pyara lagay ga, bara meetha lagay ga

Aye kash Madinay mein mujhay mout youn aaye
Qadmoom main ho sarkar kay sar kaisa lagay ga.

Aye pyaray Khuda daikhoon mein sarkar ka jalwa
Mil jayen dua to jo asar kaisa lagay ga.

Aaqa ka gada hoon aie jahannum bhi to sun lay
Woh kaisay jalay jo keh ghulam e Madani ho.

Aye kash main ban jayoon Madinay ka musafir
Phir rooti hui Taiba ko baraat chali ho.

Jab dur say hai itna haseen Gumbad e Khizra
Iss paar yeh aalam hay udhar kaisa lagay ga.

Taibba ki sa’aadat to youn patay hain hazaron
Murshid ka saath ho jo safar kaisa lagay ga.

Aa jayein meray ghar mein agar Rehmat e Aalam
Main kaisa lagoon ga mera ghar kaisa lagay ga.

Darpesh ho Taiba ka safar, kaisa lagay ga
Guzrein jo wahan sham o sehr, kaisa lagay ga.

Bara acha lage ga, bara pyara lage ga, bara meetha lage ga





Noor wala aya hai, noor lay ker aya hai
Saray aalam pay yeh daikho kaisa noor chaya hay
Assalatu wassalamu ‘alayka Ya Rasulallah
Assalatu wa as-salamu ‘alayk’alayka Ya Habib Allah.

jab talak yeh chand taray
Jab talak yeh chand taray jhil milatay jayein gay
Tab talak jashn e wiladat hum manatay jayein gay.

naat e mehboob e khuda suntay
Naat e Mehboob e Khuda suntay sunatay jaein gay
ya Rasulallah ka nara lagatay jaein gay.

Char janib hum diye ghee kay jalatay jaien gey
Ghar to ghar saray mohalay ko sajatey jaien gey.

Eid e Milad un Nabi ki shab e charaghan kar kay hum
Qabar noor e Mustafa say jagmagatay jayein ghay.

Tum karo jashan e wiladat ki khushi main roshani
Woh tumhari gor teera jagmagatay jayein ghay.

Hashr mein zairay liwae hamd aye Attar hum
Naat e Sulatan e Madina gun’gunatay jayein gay.

















Pyaari Maa Mujh Ko Teri Dua Chahiye
Tere Anchal Ki Thandi Hawaa Chahiye
Pyari Maa Mujh Koo Teri Dua Chahiye

Lori Gaa gaa Ke Mujh Ko Sulati Hain Tu
Muskura Ke Sawere Jagati Hain Tu

Mujh Ko Iss Ke Siwa Aur Kya Chahiye.
Pyaari Maa Mujhko Terii Dua Chahiye

Tere Aanchal Ki Thandi Hawaa Chahiye

Tere Mumtaa Ke Saaye Main Phoolo Phalo
Thaam Ker Teri Ungli Main Badhta Chaloo

Aasra Bas Tere Pyar Ka Chahiye.
Pyari Maa Mujh Ko Teri Dua Chahiye

Tere Anchal Ki Thandi Hawa Chahiye
Teri Khidmat Se Duniya Main Azmat Meri 

Tere Pairo Ke Niche Hai Jannat Meri
Umar Bhar Sar Pe sayaa Tera Chahiye.
Pari Maa Mujh Ko Teri Dua Chahiye

Teri Anchal Ki Thandi Hawa Chahiye
Pyari Maa Mujhko Teri Dua Chahiye.










Zameen maili nahi hoti, zaman maila nahi hota
Zameen mali nahi hoti, zaman maila nahin hota

Muhammad () kay gulamon ka kafan maila nahi hota.

Mohabbat Kamli wale say, woh jazba hai suno logo
Yeh jis man main sama jaaye, woh mann maila nahi hota.
Muhammed () ke gulamon ka kafan maila nahi hota.

Gulon ko choom laite, hain seharnam shabnami qatre
Nabi () ki naat sun lein tu, chaman maila nahi hota.
Muhammad () ke gulamon ka kafan maila nahi hota.

Muhammad () ke gulamon ka kafan maila nahi hota.

Jo Naam-e-Mustafa () chumein, nahi dukhti kabhi ankhein
Pehen le pyaar jo Unka, badan maila nahi hota.
Muhammad ke gulamon ka kafan maila nahi hota

Nabi () ka daman-e-rehmat pakar lo aey jahan walo
Rahe jab tak yeh hathon main, chalan maila nahi hota.
Muhammad () ke gulamon ka kafan maila nahi hota


Main nazan tu nahi fanpan magar Nasir yeh dawa hai
Sana-e-Mustafa () karne se fan maila nahi hota.
Muhammad () ke gulamon ka kafan maila nahi hota











Hara Gumbad Jo Dekhoge Tu Dunya Bhool Jaoge
Agar Taiba ko Jaoge tu Ana Bhool Jaoge 2
Hara Gumbad Jo Dekhoge Tu Dunya  Bhool Jaoge

Na itrao Ziada Chand taro Apni Rangat Par   --2
Mere Aaqa Ko Dekhoge Tu Chamakna Bhool Jaoge --2
Hara Gumbad Jo Dekhoge Tu Dunya Bhool Jaoge --1

Agar Tum Jaanlo Ek Hafiz-E-Quran Ki Azmath 3
Tum Apnay Bachao ko English Padhana Bhool Jaoge --2
Agar Taiba Ko Jaoge Tu Ana Bhool Jaoge --1

Hadees-E-Mustafa Par Tum Jo Hojao Amal Paira ---2
Qasim Allah Kabhi Maa Satana Bhool Jaoge --2
Agar Taiba Ko Jaoge Tu Ana Bhool Jaoge --1

Agar Tum gaor say Mere Nabi Ki Naat Sunloge --2
Mere Dawa Hai Tum Gaana Bajana Bhool Jaoge --2
Agar Taiba Ko Jaoge Tu Ana Bhool Jaoge --1

Tumare Samnay Huga Kabi Jab Gumbad-E-Qazra  --2
Nazar Jam Jaige Usper Hatana Bhool Jaoge --2
Agar Taiba Ko Jaoge Tu Ana Bhool Jaoge –1







Alla Humma Salli Ala Sayyidina Muhammadin
Sallay Ala pukaro Sarkar aa rahe hai
Utho aye Be saharo Sarkar aa rahe hai
Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin
Maulood ki ghadi hai chalo Aamina ke ghar par
Aye khuld ki baharo Sarkar aa rahe hai
Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin
Joh maangna hai maango joh lena hai so le lo
Duniya ke tajdaro Sarkar aa rahe hai
Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin
Purnoor hai zamana subhe Shabe Wiladat
Parda utha hai kiska subhe Shabe Wiladat
Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin
Pyaare Rabbi ul Awwal teri jhalak ke sadqe
Chamka diya naseeba subhe Shabe wiladat
Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin
Aai nayi hukoomat sikka naya chale ga
Aalam ne rang badla subhe Shabe Wiladat
Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin
Nisar teri chehal pehal par hazaro Eid e Rabbi Ul Awwal
Siwaye iblees ke jaha me sabhi toh khushiya mana rahe hai
Allhumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin
Zamane bhar ka yeh qaida hai ke jiska khana ushi ka gana
Toh nehmate jin ki kha rahe hain unhi ke geet hum gaa rahe hai
Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin
Marhaba Marhaba Jaddal Hussaini Marhaba
Marhaban Marhaban Yaa Nooral Ayni Marhaba
Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin
Aamina Bibi ka jaaya barwee tareeq aya
Subhe sadiq ne sunaya Salawa Tullah Alayk
Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin
Aamina Bibi ke gulshan me aayi hai taaza bahaar
Padhte hai Salla Alayka Wa Sallam aaj daro deewar
Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin
Kaabe ke Badrud Duja tum pe karodo durood
Taiba ke Shamsud Duha tum pe karodo durood
Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin
Subha Taiba me huwi bat ta hai bada Noor Ka
Sadqa lene Noor ka aaya hai taara Noor ka
Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin
Saba madine mein mustafa se hum bekasoon ka salaam kehna...
Nahi hai koi bajuz tumhare hamara itna payaam kehna!!!

Main papi pyada hun ya muhammad صلى الله عليه وسلم sambhal lije sambhal lije...
Bajuz tumhare kise pukarein tumhare hi hain gulaam kehna!!!

Jagah madine mein wo ata ho tumhare roze ka saamna ho...
Wahin pe rehne ki aarzu hai wahin ka mujhko gulaam kehna!!!

Na mar rhe hain na jee rhe hain tadap rahe hain sisak rahe hain...
Nahi hain zinda magar hain Inda tumhara lete hain naam kehna!!!

Fida main tere nisaar tere tere main sadqe tere main qurbaan...
Guzar rahi hai jo hum pe haalat saba nabi se tamaam kehna!!!

Mustafa Jaane Rehmat Peh Lakho Salaam


Mustafa jaane rehmat peh lakho salaam
Sham-e-bazm-e hidaayat peh lakho salaam
Hum ghareebon ke aaqa pe behad Durood
Hum faqeeron ke sarwat peh lakho salaam
Jis ki tasqee se rote huwe has pare
Us Tabassum ki aadat peh lakho salaam
Door o nazdeek ke sunne wale wo kaan
Kaan e laal e karaamat peh lakho salaam
Jis ko baare wo aalam ki parwa nahin
Aise baazon ki kuwat peh lakho salaam
Ghaus-e-azam immaamat tuqa wan nuqa
Jalwa e shaan e qudrat peh lakho salaam
Hind ke baadshah deen kai wo moin
Khaawja e dinno millat peh lakho salaam
ek mera hi rehmat mai daawah nahin
Shah ki sari ummat peh lakho salaam
Kaash mehshar mai jab un ki aamad ho aur
Behje sab un ki shauqat peh lakho salaam
Mujhse kidmat ke kudsi kahe ha raza
Mustafa jaan e rehmat peh lakho salaam
Daal di qalba mai azmate Mustafa
Sayyadi Ala Hazrat peh lakho salaam
Mein so jaoo Ya Mustafa kehte kehte
Khulle aankh Salle Aala kehte kehte
Sitam pe Sitam seh gaye dushmano ko
Habeeb-e-Khuda, Ya Khuda kehte kehte


May so jaoo Ya Mustafa kehte kehte
Khulle aankh Salle Aala kehte kehte

Guzarte thay kaantey bharrey raasto say
Rasul-e-Khuda, Marhaba kehte kehte

May so jaoo Ya Mustafa kehte kehte
Khulle aankh Salle Aala kehte kehte

Huwey surkhuru Aap har maarke me
Fakat Rabbana, Rabbana kehte kehte

May so jaoo Ya Mustafa kehte kehte
Khulle aankh Salle Aala kehte kehte

Shahe her do Aalam ne naam-e-jabee se
Bhara paet shukre Khuda kehte kehte

May so jaoo Ya Mustafa kehte kehte
Khulle aankh Salle Aala kehte kehte

Andhero mein hum ne kiya hay ujaala
Aqeedat sey Noor-ul-Huda kehte kehte

May so jaoo Ya Mustafa kehte kehte
Khulle aankh Salle Aala kehte kehte

Dille muztarib ko qaraar aagaya he
Shabo rawz Ya Mujtaba kehte kehte

May so jaoo Ya Mustafa kehte kehte
Khulle aankh Salle Aala kehte kehte

Museebat kay maaro kathan manzillo se
Guzar jaoo Ya Mustafa kehte kehte

May so jaoo Ya Mustafa kehte kehte
Khulle aankh Salle Aala kehte kehte

Mery Angan Mai Ao Peeran-E-Peer
meri qismat jagao Peeran-e-Peer

ap hasni huseni sarkar hain
rung hum pe chahrao Peeran-e-Peer

humen mushkil kushah ka sadqa mily
humen khuja piya ka sadqa mily,
humen data piya ka sadqa mily,
humen baba fareed ka sadqa mily,
humen mushkil kushah ka sadqa mily
mushkilo se bachao Peeran-e-Peer

ab to kashti mery gham k sagar mai hy
paar osko lagao Peeran-e-Peer

unki ziyarat ko aaen bagdad mai
meri hasrat mitao Peeran-e-Peer

mery angan mai ao peeran e peer
meri qismat jagao Peeran-e-Peer





Kamli wale ka Naam le le kar
Be-Sahare Salam karte hein
Hajiyon Mustafa se keh dena
Gham ke mare Salam karte hein

Allah Allah Huzur ki Baatein
Marhaba Rango Noor ki Baatein
Chand Jinki Balayein leta hai
Aur Sitare Salam karte hein

Zahire Tayba Tu Madine mein
Mere Aaqa se itna keh dena
Pyare Aaqa Rasool sun lijiye
Gham ke mare Salam karte hein

Aye Payami Meri Kasam hai Tuje
Araz karna Rasoole Akram se
Qalbe Muztar ko hai Huzur tadap
Aur Sare Salam karte hein

Sabz Gumbad ka Aankh mein Manzar
Aur Tasawwur mein Aapka Mimbar
Samne Jaliyan hein Roze ki
Aur Zahen se Salam karte hein

Allah Allah Huzur ke Gaisu
Bhini Bhini mahekti Wo khushbu
Jinse Ma'moor hai fiza har soo
Wo Nazare Salam karte hein
Jalwa Gahe Shahe Anam hai
Unke Roze ka Aheteram hai
Ummati jhum jhum kar Tumko
Rab ke Pyare Salam karte hein

Jab Muhammad ka Naam aata hai
Rehmaton ka Payam aata hai
Lab Hamare Durood padte hein
Dil Hamare Salam karte hein

Zikr tha Aakhari Mahine ka
Chhid gaya Tazkira Madine ka
Sabz Gumbad ko Aaj bhi Anwar
Chand Taare Salam karte hein

Teri Furkat mein bekarar hai Jo
Hijre Tayba mein Dil-Figar hai Jo
Wo Talabghar bhi ro ro kar
Aye Meri Jaan Salam karte hein

Aye Khuda ke Habeeb Pyare Rasool
Ye Hamara Salam kijiye kubul
Aaj Mehfil mein Jitne Hazir hein
Milke Sare Salam karte hein

Lab Pe Aati Hai Duwa Banake Tamanna Meri

Lab Pe Aati Hai Duwa Banake Tamanna Meri… (3)
Jindagi Shamma Ki Surat Hai, Khudaaya Meri
Lab Pe Aati Hai Duwa Banake Tamanna Meri

Dur Duniya Ka Mere Dum Se Andhera Ho Jaaye… (2)
Har Jagah Mere Chamakane Se Ujaala Ho Jaaye
Ho Mere Dum Se Yuun Hi Mere Watan Ki Jinat
Jis Tarah Phul Se Hoti Hai Chaman Ki Jinat
Jindagi Meri Ho Parwaan Ki Surat Ya Rab
Ilm Ki Shamma Se Ho Mujhako Muhabbat Ya Rab
Ho Mera Kaam Garibon Ki Imaayat Karana
Dardmandon Se Jayifon Se Muhabbat Karana

Mere Allaah Buraayi Se Bachaana Mujhako
Nek Jo Raah Hai Uss Reh Par Chalaana Mujhako
Main Madinay Chala Main madinay chala, mein Madinay chala,
Phir karam ho gaya main Madinay chala.
Kaif sa cha gaya main madinay chala,
Jhoomta jhoomta main madinay chala.
Mere Aaqa ka darr hoga paish-e-nazar,
Chahiye aur kya main Madine chala.
Darkano tumhi kaho waqt woh kaisa hoga,
Samanay ankhon kay jab gunbad-e-sabz ho ga.
Gumbad-e-sabz par jab paray gi nazar,
Kya suroor aega main Madinay chala.
Jab gumbad-e-khizra pe woh, pehli nazar gayi,
Aankhon kay raastay meray dil mein uttar gayi.
Sabz gunbad ka noor zang kar day ga dur,
Paye ga dil jila, main Madinay chala.
Ashk thamtay nahi, paon jamtay nahi,
Larkharaata hua main madinay chala.
Mere Siddique Umar ho salam aap par,
Aur rehmat sadaa main Madinay chala.
Woh uhod ki zammen jis k ander makeen,
Mere hamza piya main Madinay chala.
Unka gham chasham-e-tarr aur sauz-e-jigar,
Ab tou dai dai Khuda (SWT) main Madinay chala.
Saaqia mai pila main madinay chala,
Mast-o-bekhud bana main Madinay chala.
Ae shajar a hajar tum bhi shams-o-qamar,
Daikho daikho zarra main Madinay chala.
Daikh taaray mujhe, yeh nazaray mujhe,
Tum bhi daikho zarra main Madinay chala.
Rooh-e-muztar theher tu nikalna udher,
Itni jaldi bhi kya main Madinay chala.
Haath uth’tay rahain mujhko daitay rahain,
Woh talab se siwa main Madinay chala.
Noor-e-haq k Hazoor apnay saray kasoor,
Bakhswanay chala main Madinay chala.
Woh Bakee ki zameen jis k ander makeen,
Mere Madani Zia main Madinay chala.
Un k minaar par jab paray gi nazar,
Kya saroor aega main Madinay chala.
Minbar-e-noor par jab uthay gi nazar,
Kya saroor aega main Madinay chala.
Dard-e-ulfat milay zauq barhnay lagay,
Jab chalay qaafila main Madinay chala.
Kya karega idher baandh rakht-e-safar,
Chal obaid-e-raza main Madinay chala.
Kya yeh tu ne kaha a Ubaid-e-Raza,
Soch tou kuch zarra main Madinay chala.
Main tou bus yoon hi tha main ki aukaat kya,
Qaafia yeh mila main Madinay chala.

Suni Suni Dagar Ujda Ujda Chaman
Bin Tere ye na mehkega Mashke Khutan

Tut kar jaise gir jayega ye gagan
Meri Maa Tu hai Jannat mein Mashko Magan

Kaise Tujse kahu Fir se aaja yaha
Meri Maa Meri Maa
Meri Maa Pyari Maa
Meri Maa Meri Maa


Sabr karta to hu Sabr aata nahi
Samne Teri Surat koi lata nahi
Tera paigam ab koi lata nahi
Darde Dil haye Mera bhi jata nahi
Kisko Apni sunayenge Ham dastan
Meri Maa Meri Maa
Meri Maa Pyari Maa
Meri Maa Meri Maa

Qabr Teri bane Ek umda Chaman
Tera maila na ho Ta-Qayamat Kafan
Soti reh jaise soti ho koi Dulhan
Ye Dua karte hein sare hi Mardo Zar
Tujko mil jaye Jannat mein behtar Maqam
Meri Maa Meri Maa

Ye to mumkin nahin bhul jaun Tuje
Raat Din fiqr hai kaise paun Tuje
Dil mein kya hai Tamanna bataun Tuje
Meri Maa Meri Maa

Meri Maa Teri mamta pe qurban mein
Bhul jaun na Maula ka Farman mein
Yad kar kar ke ho jaun hairan mein
Tujko padh padh ke bakhshunga Quran mein
Tere bete gute Aur Tu uski Maa
Meri Maa Meri Maa


Ya Jeelani Shainlillah
Ya Jeelani Shaialillah
Ya Jeelani shaiallillah
Al Madad bi Iznillah

Main hu bura par tera hu
Hu ruswa par tera hu
Hu kya kya par tera hu
Tera hu de mujh ko panah

Ya jeelani.....

Zamee maili nahi hoti zaman maila nahi hota
Wilayat jiske man me ho woh man maila nahi hota
Ke aagoshe lahad me bhi badan maila nahi hota
Shahe Jeelan ke aashiq ka kafan maila nahi hota
Ya jeelani ......

Janabe Gaus sa ab koi Aaqa ho nahi sakta
Ke woh Aaqa hai jiska misl paida ho nahi sakta
Janabe Gaus ne zimma liya hai parda poshi ka
Mureed unka kisi soorat me ruswa ho nahi sakta
Ya jeelani ........

Kab tak ho ye aaho buka
Mere maraz ki kardo dawa
Ek nazar mere Maula
Haal bada hai sakht tabaah
Ya Jeelani ......





Allah Muje Hafiz e Kuraan bana de
Kuraan ke ahekam pe bhi mujko chala de

Ho jaya kare yaad sabak jald Ilahi

Maula tu mera hafiza majboot bana de

Susti ho meri dur uthu jald savere

Tu Madarase mai dil mera Allah laga de

Ho madarase ka mujse na nuksan kabhi bhi

Allah ! yaha ke muje adab sikha de

Chhuti na karu bhul ke bhi madarase ki mai

Aukat ka bhi mujko tu paband bana de

Ustad ho mojud ya bahir kahi masroof

Aadat tu meri shor machane ki mita de

Khaslat ho meri dur shararat ki Ilahi

Sanjida bana de muje sanjida bana de

Ustad ki karta rahu hardam mai ita'at

Maa baap ki izzat ki bhi taufik khuda de

Kapde mai rakhu saaf tu dil ko mere kar saaf

Maula tu madina mere sine ko bana de

Filmon se diramon se de nafrat tu Ilahi

Bas shok muje naat o Tilavat ka khuda de

Mai saath jama'at ke padu saari namazain

Allah ! Ibadat mai mere dil ko laga de

Padta rahu kasrat se durud un pe sada mai

Aur zikr ka bhi shok pae gaus o raza de

Har kaam shariyat ke mutabik mai karu kaash

Ya Rabb tu muballig muje Sunnat ka bana de

Mai jhuth na bolu kabhi gali na nikalu

Allah maraz se tu gunahon se shifa de

Mai falatu baton se rahu dur hamesha

Chup rehne ka Allah salika tu sikha de

Akhlak ho achhe mera kirdar ho suthra

Mehboob ka sadka tu muje nek bana de

Ustaad ho maa baap ho ATTAR bhi ho sath 

Yun hajj ko chale aur madina bhi dikha de
Shah e Madina, Shah e Madina, Shah e Madina
Taiba ke wali sare nabi tere dar ke sawali

Shah e Madina, Shah e Madina, Shah e Madina
Terey liye hi dunya bani hai, neele falak ki chadr tani hai
Tu agar na hota dunya thi khali, sare nabi tere dar ke sawali
Jalwe hai sare terey hi dam se, aabad aalam terey karam se
Baqi har ek shay naqshe khayalo, sare nabi tere dar ke sawali
Tune jahan ki mehfil sajai, taarikyon mein shamma jalai
Kandhe pe tere kamli hai kaali, sare nabi tere dar ke sawali
Mazhab hai tera sab ki bhalai, maslak hai tera mushkil kushai
dekh ke apni umat ki khasta haali, sare nabi tere dar ke sawali
Hai noor tera shamso qamar mein, tere laboon ki laali sahar mein
Phoolon ne teri khusbu chura li, sare nabi tere dar ke sawali
Kaba ka kaba tera hi ghar hai, tere karam pe sab ki nazar hai
Dikhlade hum ko darbare aali, sare nabi tere dar ke sawali
Hain ap dukhyon ke aaqa sahare, Taje shafa at hai sar pe tumhare
Ham ko aata ho roze ki jaali, sare nabi tere dar ke sawali
Taiba ke wali sare nabi tere dar ke sawali
Shah e Madina, Shah e Madina, Shah e Madina






Shahe Do alam Salam Assalam 
Garibon ke hamdam salam Assalam
Karo door har gham Salam Assalam
Har aankh hoke purnam salam Assalam


Shahe Do alam Salam Assalam 


Rabb ne bade pyar se me'raaj mein kaha

Rehne do na'layn ko aa jaao mustafa
Kadam e Muhammad ko liya arsh ne bosa
Jhum uthe sare malaik w marhaba
Mange jo nabi rabb ne wo diya
Rabb ne jo diya nabi ne wo liya
Jhuka arsh e Aazam Salam Assalam

Shahe Do alam Salam Assalam 


Aap ne jo kar diya ungali ka ishara

Chaand do tukde hua kurban ho gaya
Jab namaz e asar ali ki hui kaza
Aap ne suraj ko dubara palat diya
Aap jo kiye mo'ajaze bane
Aap jab chale do jahan juke
Mera sar bhi hai kham Salam Assalam

Shahe Do alam Salam Assalam 


Ya nabi ab hind mein mushkil hua jina

Nazre karam se hamen bulwayen madina
Paas hamare na koi maalo zar hai
Mujse badi door madine ka safar hai
Der na karo jaldi bulalo
Dar pe bula kar gham se chhuda lo
Nikal jaaye na dam Salam Assalam

Shahe Do alam Salam Assalam 


Ya nabi ab hashr mein ummat ko bachana

Aasiyon ko moori chadar mein chhupana
Zindagi hamari gunahon mein kati hai
Ya nabi bakhshih ye nazar sab ki lagi hai
Shahe abmiya dena aasara
Noore kibriya sun lo ye sada
Karam jaane alam salam Assalam


Mera Nabi lajawaab hai
Nabiyon me gulaab hai
Rashke maahtaab hai
Rab ka intekhaab hai
Mera Nabi lajawaab haiDaamaad jin ka Shere Khuda Bu Turaaab hai
Barkat, Karam, Shifa ka khazeena luaab hai
Jinke ghulam shaho ki azmat ko maat de
Kya shaan unki jinka paseena gulaab hai
Mera Nabi lajawaab hai
Yaseen o Taha naam hai jinke Qur’an me
Ashaar ka sunau main unke bayaan me
Woh hi hai Muzzammil ha Mudassir bhi wohi hai
Taakat kaha se laau main apni zabaan mein
Mera Nabi lajawaab hai
Shaqqul Qamar ka mojiza qurbaan jaaiye
Toota hua dil jod ne is dar pe aaiye
Woh jaante hai dil me chupe raaz humare
Sab milke zara josh me naara lagaiye
Mera Nabi lajawaab hai
Rizwan kya bayaan kare shaan tumhari
Khud Saahibe Qur’an kare madha tumhari
Alhamd se wannaas talak padhte jaaiye
Har nuqtaye Qur’an kahe naat tumhari
Mera Nabi lajawaab hai

Choote Na Kabhi Tera Daman Ya Khwaja Moinuddin


Choote na kabhi tera daaman
Ya Khwaja Moinuddin Hasan
Hai tum pe fida sab tan mann dann
Ya Khwaja Moinuddin Hasan
Ajmer mujhe pohochaade Khuda
Chaadar mai charaahu phoolo ki
Yeh sadqa karu tan mann apna
Ya Khwaja Moinuddin Hasan
Farzande Ali ho Noor e Nabi
Mehboob e Khuda hain zaat teri
Ek baar dikha Rauza Apna
Ya Khwaja Moinuddin Hasan
Kaaba ho Madina ho ya Najaf
Har sampt nazar tum aate ho
Kuch aisi lagi hai tum se lagan
Ya Khwaja Moinuddin Hasan
Waliyon ke wali ho tum Khwaja
Aur ibne sakhi ho tum Khwaja
Tum Aal e Nabi Awlaad e Ali
Ya Khwaja Moinuddin Hasan
Aqaa ki atah woh Noor e Ali
Zahrah ki kali waliyo ke wali
Hasnain ke dil Usmaan ke nayan
Ya Khwaja Moinuddin Hasan


Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada
Jo Karam Mujpe Mere Nabi Ne Kiya

Main Sajata Tha Sarkar Ki Mehafile
Mujko Har Gam Se Rab Ne Bari Kar Diya
Is Karam Ka Karoon Shukr……………
Lamha Lamha Hai Mujpar Nabi Ki Ata
Dosto Or Mangu Main Maula Se Kya
Kya Ye Kam Hai Ke Mere Khuda Ne Muje
Apne Mehbub Ka Ummati Kar Diya
Is Karam Ka Karoon Shukr………………………
Zikr Sarkar Ki Hai Bari Barkate
Mil Gai Rahate Azamate Rifa-Ate
Main Gunahgaar Tha Be-Amal Tha Magar
Mustafa(Saw) Ne Muje Jannati Kar Diya
Is Karam Ka Karoon Shukr………………………
Jo Dare Mustafa(Saw) Ke Daga Ho Gae
Dekhte Dekhate Kya Se Kya Ho Gae
Aisi Chasme Karam Hai Sarkar Ne
Har Daga Ko Shafi Ne Wali Kar Diya
Is Karam Ka Karoon Shukr………………………
Dar-e-Khwaja Pe Sawali Ko Khara Rehne Do
Sar Nidamat Se Jhuka Hai Tou Jhuka Rehne Do

Mujh Ko Mil Jayega Sadqa Mein Chala Jaonga
Kasa-e-Dil Mera Qadmoon Mein Para Rehne Do

Khud Hee Farmayeingay Mujrim Pe Woh Rehmat Ki Nazar
Mujh Ko Khwaja Ki Adalat Mein Khara Rehne Do

Chor Ke Aap Ka Dar Mein Kahan Jaonga
Iss Gada Ko Issi Saaye Mein Para Rehne Do

Mujhko Karna Na Juda Dar Se Kabhi Khwaja Jee
Dil Jo Deewana Bana Hai Tou Bana Rehne Do

Roz-e-Mehshar Ye Gunaahgaar Ke Kaam Ayega
Warsi Rung Charhra Hai Tou Charhra Rehne Do

Arz Karta Hoon Mein Rozana Ye Khwaja Se Khalil
Apni Rehmat Se Jahan Mera Saja Rehne Do
Meri ulfat Madine se yun hi nahi
Mere aaqa ka rouza Madine mein hai

Mein Madine ki jaanib na kaise khinchu
Mera deen or duniya Madine mein hai

Arsh e aazam pe jis ki badhi shaan hai
Roza e Mustafa jis ki pehchaan hai
Jis ka hum palla koi mohalla nahi
Ek aisa mohalla Madine mein hai

Phir mujhe mout ka koi khatra na ho
Mout kya zindagi ki bhi parwah na ho
Kaash Sarkaar ek baar mujh se kahe
Aa tera jeena marna Madine mein hai

Sarware dee jahaa se dua hai meri
Ye budo chashmey tar ilteja hai meri
Un ki fehreest mein mera bhi naam ho
Jinn ka roz ana jaana Madine mein hai

Jab nazar suye Taiba rawana hui
Saath dil bhi gaya saath jaan bhi gai
Mein Muneer ab rahunga yaha kisliye
Mera sara asasa madine mein hai

Mujhe bhi shahid e asra bana diya hota,
Nabi ki gard kafepa bana diya hota.

Nabi ke shehr ko udte huwe pohonch jata
Ke tune mujh ko parinda bana diya hota

Bana ke mujh ko kabootar gufa me rakh deta
Nahi to makdi ka jaala bana diya hota

Sahaba girne na dete zameen par mujh ko
Wazu ke pani ka katra bana diya hota

Hasan Hussain mere saath khelte hote
Ke mujh ko unka khilona bana diya hota

Udhed kar meri chamdi aye khalikh e Akbar
Nabi ke paaon ka joota bana diya hota

Jalan se dekhte heere jawaheraat muhje
Nabi ki galiyon ka kachra bana diya hota.
Naatein Sarkar Ki Parta Hoon Mein
Bas Issi Baat Say Ghar Mein Meri Rahmat Hogi
Ik Tera Naam Waseela Hei Mera
Ranj O Gham Mey Bhi Issi Naam Sey Rahat Hogi.

Ye Suna Hey Kay Bahot Ghor Andheri Hogi
Qabar Ka Khowf Na Rakna Ey Dil
Wahan Sarkar E Madina (Do-allam) Ki Ziarat Hogi
Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein
Bas Issi Baat Say Ghar Mein Meri Rahmat Hogi.

Unko Mukhtar Banaya Hey Merey Mola Ney
Khuld Mein Bas Wahi Ja Sakta Hein
Jisko Hasnain Kay Baba Ki Ijazat Hogi
Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein
Bas Issi Baat Say Ghar Mein Meri Rahmat Hogi.

Hashr Ka Din Bhi Ajab Deykna Vala Hoga
Zulf Lehra Key Woh Jab Ayengey
Phir Qiyamat Mein Bhi Ik Aur Qiayamat Hogi
Zulf Lehra Kay Woh Jab Ayengey Moray Arbi Sawaariya
Zulf Lehra Kay Woh Jab Ayengey
Phir Qiyamat Mein Bhi Ik Aur Qiayamat Hogi

Ik Tera Naam Waseela Hei Mera Ya Rasoolallah
Ik Tera Naam Waseela Hei Mera
Ranj O Gham Mey Bhi Issi Naam Sey Rahat Hogi.

Mera Daman to Gunaho Sey Bhara Hey Iltaf
Ik Sahara Hey Kay Mein Unka Hoon
Issi Nisbat Sey Sar-e-hashr Shifa-at Hogi.

Ik Tera Naam Waseela Hei Mera
Ranj O Gham Mey Bhi Issi Naam Sey Rahat Hogi.

Yeh Naam Kio Kaam Bgharnay Nahi Deta
Bhigray Bhi Bana Deta Hai Bas Nam-E-Mohammad
Ik Tera Naam Waseela Hei Mera
Ranj O Gham Mey Bhi Issi Naam Sey Rahat Hogi.


Ab To Bas Ek Hi Dhun Hai Ke Madina Dekhu
Akhari waqt me kya Raunaq e Duniya dekhu
Ab toh bas ek hi dhun hai ke Madina dekhu

Isne bhi Madina dekh liya usne bhi Madina dekh liya
Sarkar kabhi toh mai bhi kahu mai ne bhi Madina dekh liya
Ab toh bas ek hi dhun hai ke Madina dekhu

Mainu majburiya ne dooriya ne maare aa
Sadh lo Madine Aaqa karu meherbaniyan
Tusan te hai dera methu bari door laa laya
Sadh lo Madine Aaqa Karo Meherbaniyan

Ab toh bas ek hi dhun hai Ke Madina dekhu

Phir karam ho gaya mai Madine chala
Jhoomta jhoomta mai Madine chala
Saakiya meh pila mai Madine chala
Mast o Bekhud bana Mai Madina chala
Mere Aaqa ka dar hoga peshe nazar
Chahiye aur kya mai Madine Chale

Ab toh bas ek hi dhun hai Ke Madina dekhu

Ek roz hoga jana Sarkar ki Gali me
Hoga wahi thikana Sarkar ki gali me
Teri jaliyon ke niche teri rehmato ke saaye
Jise dekh ni ho Jannat woh Madina dekh aaye

Ab to bas ek hi dhun hai ke Madina dekhu

Mere maula meri aankhe mujhe wapas karde
Taake iss bar mai jeebhar ke Madina Dekhu

Ab toh bas ek hi dhun hai Ke Madina dekhu

Bulalo phir mujhe aye Shah e Bahrobar Madine me
Mai phir rota huwa aau tera dar par Madine me
Madine jaane waalo jaao jaao Fi Aman’illah
Kabhi toh apna bhi lag jayega  bistar Madine me

Ab toh bas ek hi dhun hai Ke Madina dekhu

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah
Tere sadqe me aaqa sare jahan ko deen mila
Bedeeno ne kalma padha laailaha illallah

Hasbi rabbi jallallah, ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla, laailaha illallah

Simt-e-nabi Abu Jehal gaya aaqa se usne ye kaha
Agar ho nabi batlaao zara, meri mutthi me hai kya
Aaqa ka farman hua aur fazl-e-rahmaan hua
Mutthi se patthar bola laailaha illallah

Hasbi rabbi jallallah, ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla, laailaha illallah

Wo jo bilal-e-habshi hai, sarwar-e-deen ka pyara hai
Duniya ke har aashiq ki aakhon ka wo tara hai
Zulm hue kitne uspar seene par rakha patthar
Lab par phir bhi jaari tha laailaha illallah

Hasbi rabbi jallallah, ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla, laailaha illallah

Apni bahan se bole Umar (ra) ye to bata kya karti thi
Mere aane se pahle kya chupke chupke padhti thi
Bahan ne jab quran padha, sunke kalam-e-paak khuda
Dil ye umar (r.a) ka bol utha laailaha illallah

Hasbi rabbi jallallah, ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla, laailaha illallah

Duniya ke insan sabhi shirk-o-bidat karte the
Rab ke the bande phir bhi but ki ibadat karte the
Butkhane hain tharraye mere nabi hain jab aaye
Kahne lagi makhlooq-e-khuda laailaha illallah

Hasbi rabbi jallallah, ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla, laailaha illallah


Apna Haram dikha de Dono jahan ke Malik
Kismat Meri Jaga De Dono Jahan Ke Malik

Aye Mere Maula Maula Maula Maula
Aye Mere Maula Maula Maula Maula

Barson se Arzoo Hai -Taiba Ki Arzoo Hai
Ek Baar hi Dikha de Har Saal hi Dikha de Dono Jahan Ke Malim

Aye Mere Maula Maula Maula Maula
Aye Mere Maula Maula Maula Maula

Ishq e Nabi ki Khusboo Karya e Jaan Main Rkha De
Ulfat Main Dil Basa De- Dono Jahan ke Malik

Aye Mere Maula Maula Maula Maula
Aye Mere Maula Maula Maula Maula

Duniya o Akhirat ke Har Gham se Tu Bari Hai
Mujda Mujhe Suna De Dono Jahan ke Malik

Aye Mere Maula Maula Maula Maula
Aye Mere Maula Maula Maula Maula

Duniya ke Har Sitam se Uqba ke Har Alam se
Daman Mera Chupa de Dono Jahan ke Malik

Aye Mere Maula Maula Maula Maula
Aye Mere Maula Maula Maula Maula

Baitha Nabi ke Dar Jiss Dam ko Yeh Gada Hai
Uss Dam isse Pana de Dono Jahan ke Malik

Aye Mere Maula Maula Maula Maula
Aye Mere Maula Maula Maula Maula






Hum ko bulana Ya Rasool Allah Lyrics
Hum ko bulana Ya Rasool Allah
Hum ko bulana Ya Rasoolallah.
hum ko bulana ya rasool allah

Kabhi to sabz gunbad ka ujala hum bhi dekhein gay
Hamein bulwaein gay Aaqa madina hum bhi dekhein gay.

Dharak uthay ga yeh dil ya dharakna bhool jaye ga
Dil e bismil ka us dar par tamasha hum bhi dekhain gey.

Adab say hath bandhay unkay rozay per kharay houn gay
Sunehri jaliyoon ka youn nazara hum bhi dekhein gay.

Dar e dolat say lotaya nahin jata koi khali
Wahan khairat ka batna Khudaya hum bhi dekhein gay.

Barasti gunbad e khizra say takrati hoi boundein
Vahan per shaan say barish barasna hum bhi dekhein gay.


Guzaray raat din apnay isi umeed per hum nay
Kisi din to jamal e ruey zaiba hum bhi dekhein gay.

Dam e rukhsat qadam maan bhar kay hein mehsoos kertay hain
Kisay hai jakay lout aanay ka yara hum bhi dekhein gay.


Puhanch jayein gay jis din aie ujagar unkay qadmoon main
Kisay kehtay hain janat ka nazarah hum bhi dekhein gay.











Aaqa Le Lo Salaam Ab Hamara
Sabaa Tu Madine Jaa Ke Kehna Khudara
Aaqa Le Lo Salaam Ab Hamara


Ghum se Hain Toote Hue, Zulmo Se Loote Hue,
Muddat Hui Ya Nabi, Qismat Ko Roothe Hue,
Rouze Mehshar Ummati Ka Aap Hi Sahara


Chaand Ke Tukde Kiye, Paido Ne Sajdeh Kiye,
Suraj Palat Aa Gaya, Ye Moujize Aapke
Ummati Kya Khud Khuda Hain Shaida Tumhara


Din Raat Rooti Hain Ye, Ummat Tumhare Liye
Ho Jaye Nazre Karam, Aaqa Hamare Liye
Taibah Ki Un Galiyon Ka Kab Hoga Nazara


Sab Ambiya Ke Imam, Tum Par Ho Laakho Salaam
Rouze Pe Aaye Majeed, Kehta Hai Ye Subho Shaam
Zindagi Me Aas Ka Na Toote Sitara


















Chaman Chaman ki dilkashi
Gulo ki hai wo taazaghi
Hai chand jin se shabnami
Wo kehkasha ki roshni

Hawaawon ki wo Ragini
Fazaawon ki wo nagmagi
Hawaawon ki wo Ragini
Fazaawon ki wo nagmagi
Hai kitna pyaara naam bhi

Chorus: Nabi, Nabi, Nabi, Nabi, X4
Hawaawon ki wo Ragini
Fazaawon ki wo nagmagi
Hawaawon ki wo Ragini
Fazaawon ki wo nagmagi

Ye aamade bahaar
Wo noor ki khataar hai
Fazaa bhi kush gavaar hai
Havaa bhi mushtavaar hai (x2)
Ye aamade bahaar
Havaa se maine jab kahaa
Ye kaun aagayaa bataa
Havaa pukarti chalin
Chorus
Havaa se maine jab kahaa
Ye kaun aagayaa bataa
Havaa pukarti chalin

Zamee baney zamaan baney
Maki baney makkah baney
Chuni baney chuna baney
Wo waj hai kun fakaa baney
Zamee baney zamaan baney
Maki baney makkah baney
Chuni baney chuna baney
Wo waj hai kun fakaa baney
Kahaa hai maine eh khuda
Ye kis ke sadqe mein banaa
Kahaa hai maine eh khuda
Ye kis ke sadqe mein banaa
To rab ne bhi kahaa yahin

Kahaa maine eh khuda
Ye kis ke sadqe mein banaa
Kahaa maine eh khuda
Ye kis ke sadqe mein banaa
To rab ne bhi kahaa yahin

Wo husne laa jawaab hai
Wo ishque be misaal hai
Jo wa charf ka inaam hai
Nabi ka wo wilaad hai (x2)
Badan so laghte hai tipar
Ye tartara ute hajar
Zabaan pai taa magar yahi

Badan so laghte hai tipar
Ye tartara ute hajar
Zabaan pai taa magar yahi

Chale jo qatl ko umar
kahaa kisi ney roke kar
Kahaa chaley aur kidar
Manaj kyun hai arsh par
Chale jo qatl ko umar
kahaa kisi ney roke kar
Kahaa chaley aur kidar
Manaj kyun hai arsh par
Zarra behen ki lo khabar
Fidah hai wo Rasul par
Zarra behen ki lo khabar
Fidah hai wo Rasul par
Wo kehrahi hai har ghari

Zarra behen ki lo khabar
Fidah hai wo Rasul par
Wo kehrahi hai har ghari

Umar chale behen ke ghar
Ye dil me soch soch kar
Urayenge hum un ka sar
Jo hai nabi key deen par
Umar chale behen ke ghar
Ye dil me soch soch kar
Urayenge hum un ka sar
Jo hai nabi key deen par
Sunaa hai jab Qur’an ko
Khuda key us bayaan ko
Sunaa hai jab Qur’an ko
Khuda key us bayaan ko
Umar ne bhi kahaan yahi

Sunaa hai jab Qur’an ko
Khuda key us bayaan ko
Sunaa hai jab Qur’an ko
Khuda key us bayaan ko
Umar ne bhi kahaan yahi

Wo ishque ka usul hai
Wo sunniyat ka phool hai
Wo ehsaba usul ta
Key aashique rasul ta
Wo ishque ka usul hai
Wo sunniyat ka phool hai
Wo ehsaba usul ta
Key aashique rasul ta
Raza se meine jab kahaa
Yeh shaan kis ne kee ataa
Raza se meine jab kahaa
Yeh shaan kis ne kee ataa
Raza ne bhi kahaa yahin

Raza se meine jab kahaa
Yeh shaan kis ne kee ataa
Raza se meine jab kahaa
Yeh shaan kis ne kee ataa
Raza ne bhi kahaa yahin.




Mastano ke rele mein Das roz ke mele mein
Din kitne suhnae the Khush sare diwane the

Jab khatm hua mela Aankhon mein nami aayi
Khwaja se bichhdne ki jis waqt gadi aayi
Rota tha Machalta tha Chokhat pe tadapta tha
Dehliz pe Khwaja ki Diwana ye kehta tha


Aaj Taqdeer sanwar jane do
Muje Ajmer mein mar jane do

Sochta hun ke bahana kar dun
Jane walon ko rawana kar dun
Mein kisi ko bhi nazar na aaun
Damane Khwaja me Mein chhup jaaun
Zindagi bhar ko tahher jane do
Muje Ajmer mein mar jane do

Hathon se mere chishtiya daman na chhudao
Mein dar pe pada hun Tumhe jana ho to jaao
Is dar se uthunga to kahin ka na rahunga
Mujko Mere Mueen ke dar se na uthao
Aaj Taqdeer sanwar jane do
Muje Ajmer mein mar jane do

Mera dil Meri jaan Mera arman hai
Mein hun nirdhan Mera Khwaja Dhanwan hai
Hind mein Sare Waliyon ka Sulta hai
Meri har sans Khwaja pe Qurban hai
Aaj Taqdeer sanwar jane do
Muje Ajmer mein mar jane do

Roze ka naksha zahen mein Gumbad pe nazar hai
Ye sab Mere Mueen ki nisbat ka asar hai
Duniya na jaan payegi is dil ki kaifiyat
Mein kis liye aaya hun ye Khwaja ko khabar hai
Aaj Taqdeer sanwar jane do
Muje Ajmer mein mar jane do


Unki nazar se bakht ka takhta hi palat hai
Andaze sakhawat Mere Khwaja ka bikhat hai
Zardar ki daulat to tijori mein sad gayi
Mazdoor ke hathon mein Madine ka tikat hai
Aaj Taqdeer sanwar jane do
Muje Ajmer mein mar jane do

Ji raha hun zamane ke andher mein
Jage qismat bala se Meri dair mein
Rooh Meri Madina chali jayegi
Maut aa jaye gar Mujko Ajmer mein
Aaj Taqdeer sanwar jane do
Muje Ajmer mein mar jane do

Chadar unhi ke hath se Roze pe chadana
Naraz unse hoke Tum aankhen na churana
Acchhe hein ya bure hein wo Khwaja ko pasand hein
Khwaja ke gulamon ka kabhi dil na dukhana
Aaj Taqdeer sanwar jane do
Muje Ajmer mein mar jane do

Pyare Nabi ke chain ka wo Noore Ayn ka
Khatune Khuld Zehra ka Badre Hunain ka
Mujko yakin hai ke Meri joli bharegi
Khwaja se Mujko lena hai sadqa Husain ka
Aaj Taqdeer sanwar jane do
Muje Ajmer mein mar jane do

Mastano ke rele mein Das roz ke mele mein
Din kitne suhnae the Khush sare diwane the
Jab khatm hua mela Aankhon mein nami aayi
Khwaja se bichhdne ki jis waqt gadi aayi
Rota tha Machalta tha Chokhat pe tadapta tha
Dehliz pe Khwaja ki Diwana ye kehta tha

Aaj Taqdeer sanwar jane do
Muje Ajmer mein mar jane do




12 comments: